Stock exchange Introduction part 1


                      Stock exchange
                      

Stock exchange Introduction


blog post Article 7


01) List of articles
02) What is share 
03) Types of shares
04) preferences share
05) equity share
06) sensex
07)  stock exchange






Aaj ke tarakki yafta dawor mai takhassos/Specialization ka dayera is kadar  wasi/Wide
ho gaya hai  ke har chiz  ki apni ek market ho gayi hai thik ossi tarha share ، Debuncher aur Bond ki bhi apni ek market hai os market ko (stock exchange ) kahte hain stock exchange ko Secondary market ke Naam se bhi Jana jata hai stock exchange mai pahle se khareede howe shares (securities and exchange board of Indian)
Bond aur Debuncher ki dobara khareedo farokht hoti hai eh adara porane farokht kar/Salesman aur naye shares khareedar ke darmiyan waste ka kaam karta hai majid In addition share market mai business ko aasan aur muassar / Effective Bana ta hai misal ke tawor par agar kisi share khareedar ke paas Infosys company ke 50 shares hain aur etifaque se os  shakhs ko Koch Cash ki zarorat aur woh Apne shares ko sell out karna chahte hai to os Surat mai woh Apne shares ko stock exchange ki madad se kisi dosre  Investor ko sell kar sakta hai 

Aam tawor par jab bhi koi  shakhs  apne shares ko kisi dosre ke haath  sell karta hai to ose osse stock exchange ke zarye hi sell karna hota hai aur company  apne register
se sell karne Wale ke Naam kaat kar naye khareedne Wale shakhs ka Naam darj not kar leti hai aur Jo vi nafa ya bonus shares par hasil hota hai oh naye khareedar ke account mai Move kar deti hai on tamam amur/Affairs ke bahtari ke saath anjm pane ke liye ek stock exchange hona lazmi hai 

Jadid ( new communication system ) ki tarakki ne share market mai business ko bahut asaan Bana diya hai aap INTERNET  ke zarye share market ki sar garmiyon  ki 
Tafsil/Description hasil ki kar sakte hain


Aaj kal bahut se educated aur Naukri karne Wale  Gentlemen share market mai business karna jiyada pasand karte hain os ki bouniyadi waja eh hai ke onke paas jiyada time nahi hota Majid pesa Kama ne ke liye  
Douniya ke kisi aur market mai woh loog internet aur phone ke zarye ghar ya office 
Mai Bethe Bethe business karte rahte hai 
Os time douniya ke har hisse mai stock exchange maujod hota hai 







Dosto aaj ke liye bas etna hi aur Jakarei aane Wale  wakt mai

Saidur rahman

Comments

Popular Posts